ashk aur aas ko aankhon mein liye aai hun
ashk aur aas ko āñkhoñ meñ liye aa.ī huuñ
aap ke dar pe dil-o-jāñ ko uThā laa.ī huuñ
zehn mad.hosh sā ho jaa.e kuchh aisī hai mahak
aaj kyā sīdhī madīna se havā aa.ī hai
ab du'ā hai ki qasam TuuT na jaa.e maulā
aap ke hukm pe chalne kī qasam khaa.ī hai
koī sarkār madīna se ye kah de jākar
ye gunāh-gār ziyārat kī tamannā.ī hai
jaan merī aap pe qurbān hai kamlī vaale
aap ne raah hameñ diin kī dikhlā.ī hai
'ārzū' ko bhī nabī apnī banā lījiye kanīz
hai ḳhatā-kār magar aap kī shaidā.ī hai
ashk aur aas ko aankhon mein liye aai hun
aap ke dar pe dil-o-jaan ko uTha lai hun
zehn madhosh sa ho jae kuchh aisi hai mahak
aaj kya sidhi madina se hawa aai hai
ab du'a hai ki qasam TuT na jae maula
aap ke hukm pe chalne ki qasam khai hai
koi sarkar madina se ye kah de jakar
ye gunah-gar ziyarat ki tamannai hai
jaan meri aap pe qurban hai kamli wale
aap ne rah hamein din ki dikhlai hai
'arzu' ko bhi nabi apni bana lijiye kaniz
hai KHata-kar magar aap ki shaidai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.