naqsh-pa-e-nabi se mila hai zulmaton ke safar mein sahaara
naqsh-pā-e-nabī se milā hai zulmatoñ ke safar meñ sahārā
kHāk-pā-e-nabī kī badaulat murda-dil jī uThe haiñ dobārā
ai nabī kis ke rauza pe jaa.eñ kis ko ham haal dil kā sunā.īñ
bas tum hī hāmī-e-be-kasā ho aur tum hī be-basoñ kā sahārā
merā mahbūb shahr madīna mujh ko marġhūb ḳhāk-e-madīna
merī nazroñ meñ nāchīz hai sab shams kyā kyā qamar kyā sitārā
chāhiye mujh ko kausar na jannat merī manzil hai un kī ziyārat
bas mujhe un kā jalva dikhā de ho karam mujh pe itnā ḳhudā rā
ai marīz-e-ġham-e-dil sambhal jā tirī nusrat ko ā.eñge mursal
chāragar bhī sabhī ke vahī haiñ aur vahī nā-tavāñ kā sahārā
sabz-gumbad pe nazreñ jo Dālīñ 'ārzū' mil gayā ham ko sab kuchh
dil meñ ambār thā jo 'ilm kā ho gayā pal meñ vo pārā-pārā
naqsh-pa-e-nabi se mila hai zulmaton ke safar mein sahaara
kHak-pa-e-nabi ki badaulat murda-dil ji uThe hain dobara
ai nabi kis ke rauza pe jaen kis ko hum haal dil ka sunain
bas tum hi hami-e-be-kasa ho aur tum hi be-bason ka sahaara
mera mahbub shahr madina mujh ko marghub KHak-e-madina
meri nazron mein nachiz hai sab shams kya kya qamar kya sitara
chahiye mujh ko kausar na jannat meri manzil hai un ki ziyarat
bas mujhe un ka jalwa dikha de ho karam mujh pe itna KHuda ra
ai mariz-e-gham-e-dil sambhal ja teri nusrat ko aaenge mursal
chaaragar bhi sabhi ke wahi hain aur wahi na-tawan ka sahaara
sabz-gumbad pe nazren jo Dalin 'arzu' mil gaya hum ko sab kuchh
dil mein ambar tha jo 'ilm ka ho gaya pal mein wo para-para
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.