Font by Mehr Nastaliq Web

aarzu hasrat tamanna muddaa koi nahin

Purnam Allahabadi

aarzu hasrat tamanna muddaa koi nahin

Purnam Allahabadi

aarzū hasrat tamannā mudda.ā koī nahīñ

jab se tum ho mere dil meñ dūsrā koī nahīñ

be-vafā.ī mujhe tum se gila koī nahīñ

pyaar to maiñ ne kiyā terī ḳhatā koī nahīñ

chāhne vaalā huuñ terā jab kabhī maiñ ne kahā

kah diyā us be-vafā ne merā koī nahīñ

maiñ ne jis se dil lagāyā vo na merā ho sakā

is se baḌh kar dil lagāne sazā koī nahīñ

ḳhuub hai vo zindagī jo saath guzre yaar ke

yaar bin ulfat meñ jiine maza koī nahīñ

ruuh taskīn chāra nahīñ hai maut bhī

dard aisā hai merā jis davā koī nahīñ

ajnabī huuñ maiñ shanāsāoñ meñ bhī rahte hue

jāntā koī nahīñ pahchāntā koī nahīñ

kaam kuchh tere bhī hote terī marzī ke ḳhilāf

haañ magar mere ḳhudā terā ḳhudā koī nahīñ

baḌh ke tūfāñ meñ sahārā mauj-e-tūfāñ kyuuñ na de

merī kashtī ḳhudā hai nā-ḳhudā koī nahīñ

justujū kāmil hai to manzil milnā shart hai

justujū se baḌh ke 'purnam' rahnumā koī nahīñ

aarzu hasrat tamanna muddaa koi nahin

jab se tum ho mere dil mein dusra koi nahin

be-wafai ka mujhe tum se gila koi nahin

pyar to main ne kiya teri KHata koi nahin

chahne wala hun tera jab kabhi main ne kaha

kah diya us be-wafa ne tu mera koi nahin

main ne jis se dil lagaya wo na mera ho saka

is se baDh kar dil lagane ki saza koi nahin

KHub hai wo zindagi jo sath guzre yar ke

yar bin ulfat mein jine ka maza koi nahin

ruh ki taskin ka chaara nahin hai maut bhi

dard aisa hai mera jis ki dawa koi nahin

ajnabi hun main shanasaon mein bhi rahte hue

jaanta koi nahin pahchanta koi nahin

kaam kuchh tere bhi hote teri marzi ke KHilaf

han magar mere KHuda tera KHuda koi nahin

baDh ke tufan mein sahaara mauj-e-tufan kyun na de

meri kashti ka KHuda hai na-KHuda koi nahin

justuju kaamil hai to manzil ka milna shart hai

justuju se baDh ke 'purnam' rahnuma koi nahin

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now