Font by Mehr Nastaliq Web

mujhe ghairon mein na sharik kar meri chahaton ko nakar kar

Aas Rahbar Kalkattavi

mujhe ghairon mein na sharik kar meri chahaton ko nakar kar

Aas Rahbar Kalkattavi

MORE BYAas Rahbar Kalkattavi

    mujhe ġhairoñ meñ na sharīk kar mirī chāhatoñ ko nakār kar

    mujhe apne aap meñ DhūñD mujhe mukHlisoñ meñ shumār kar

    mirī chāhatoñ pe yaqīn kar mire 'ishq hai ḳhudā gavāh

    mujhe apne dil meñ de jagah mire haq meñ soch-vichār kar

    maiñ huuñ munhamik tirī yaad meñ mujhe ek pal bhī sukūñ nahīñ

    mire qalb ko sukūn de mire paas aa mujhe pyaar kar

    mirī dhaḌkanoñ pukār sun mirī zindagī ain ban

    maiñ rafīq huuñ tire dard mirī zaat ko na zaar kar

    ġham-e-hijr na baat kar yuuñ na mujh pe kar mubāh ġham

    na duur na mujhe satā mirī chashm-e-nam na yaar kar

    zamīñ āsmāñ bhī haiñ kam bahut mire 'ishq karāñ na pūchh

    jo maiñ duuñ tujhe kabhī koī ġham to shikāyateñ hazār kar

    maiñ huuñ qāfiya radīf hai maiñ ḳhayāl huuñ ’arūz hai

    mirā ho ke mirī zindagī ġhazal ūñchā vaqār kar

    maiñ jo sochtā huuñ use kabhī to ye mujh se kahtā hai dil mirā

    hai udaas kis liye 'rahbar' ab use phir se dekh pukār kar

    mujhe ghairon mein na sharik kar meri chahaton ko nakar kar

    mujhe apne aap mein DhunD tu mujhe mukHlison mein shumar kar

    meri chahaton pe yaqin kar mere 'ishq ka hai KHuda gawah

    mujhe apne dil mein tu de jagah mere haq mein soch-wichaar kar

    main hun munhamik teri yaad mein mujhe ek pal bhi sukun nahin

    mere qalb ko tu sukun de mere pas aa mujhe pyar kar

    meri dhaDkanon ki pukar sun meri zindagi ki tu ain ban

    main rafiq hun tere dard ka meri zat ko tu na zar kar

    gham-e-hijr ki tu na baat kar yun na mujh pe kar tu mubah gham

    tu na dur ja na mujhe sata meri chashm-e-nam tu na yar kar

    zamin aasman bhi hain kam bahut mere 'ishq ki tu karan na puchh

    jo main dun tujhe kabhi koi gham to shikayaten tu hazar kar

    main hun qafiya tu radif hai main KHayal hun tu ’aruz hai

    mera ho ke tu meri zindagi ki ghazal ka uncha waqar kar

    main jo sochta hun use kabhi to ye mujh se kahta hai dil mera

    hai udas kis liye 'rahbar' ab use phir se dekh pukar kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now