tere bin kisi ki zarurat nahin hai
tire bin kisī kī zarūrat nahīñ hai
tire baa'd jiine kī chāhat nahīñ hai
mukar jā.ūñ maiñ terī chāhat se ik din
mirī jaañ mirī aisī fitrat nahīñ hai
yahī hai mire 'ishq kī intihā sun
mujhe terī yādoñ se fursat nahīñ hai
mujhe chhoḌ kar tū kare dosrā 'ishq
sanam tujh ko is kī ijāzat nahīñ hai
ye ulfat hai merī jo rūThā huuñ tujh se
mujhe ai sanam tujh se nafrat nahīñ hai
kahā kaise tū ne tujhe chhoḌ duuñ maiñ
mohabbat hai tujh se 'adāvat nahīñ hai
diyā dard-e-dil aur ḳhushī chhīn lī hai
mujhe phir bhī tujh se shikāyat nahīñ hai
mirā dil hai bechain har vaqt 'rahbar'
mirī zindagānī meñ rāhat nahīñ hai
tere bin kisi ki zarurat nahin hai
tere ba'd jine ki chahat nahin hai
mukar jaun main teri chahat se ek din
meri jaan meri aisi fitrat nahin hai
yahi hai mere 'ishq ki intiha sun
mujhe teri yaadon se fursat nahin hai
mujhe chhoD kar tu kare dosra 'ishq
sanam tujh ko is ki ijazat nahin hai
ye ulfat hai meri jo ruTha hun tujh se
mujhe ai sanam tujh se nafrat nahin hai
kaha kaise tu ne tujhe chhoD dun main
mohabbat hai tujh se 'adawat nahin hai
diya dard-e-dil aur KHushi chhin li hai
mujhe phir bhi tujh se shikayat nahin hai
mera dil hai bechain har waqt 'rahbar'
meri zindagani mein rahat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.