honT se jab saghar lagta hai
hoñT se jab sāġhar lagtā hai
nām-e-'ishq se Dar lagtā hai
aa jaatī hai dānish-mandī
pyaar meñ jab ḳhanjar lagtā hai
jo bhī vafā ke naġhme gaa.e
vo mujhe ġhārat-gar lagtā hai
sar se uThe jo baap kā saaya
phir beTā be-par lagtā hai
rañj-o-alam apne hī deñ to
dil ġham kā daftar lagtā hai
sone ke pinjre se behtar
mujh ko merā ghar lagtā hai
Dhaa.e zulm-o-sitam muflis par
us kā dil patthar lagtā hai
naqsh-e-qadam murshid ke chal kar
insāñ bālā-tar lagtā hai
dil le letā hai dil de kar
yuuñ vo saudāgar lagtā hai
us meñ nahīñ koī īfā.ī
kyuuñ ye mujhe aksar lagtā hai
andāz-e-suḳhan 'rahbar' se sīkho
vo shā'ir bartar lagtā hai
honT se jab saghar lagta hai
nam-e-'ishq se Dar lagta hai
aa jati hai danish-mandi
pyar mein jab KHanjar lagta hai
jo bhi wafa ke naghme gae
wo mujhe ghaarat-gar lagta hai
sar se uThe jo bap ka saya
phir beTa be-par lagta hai
ranj-o-alam apne hi den to
dil gham ka daftar lagta hai
sone ke pinjre se behtar
mujh ko mera ghar lagta hai
Dhae zulm-o-sitam muflis par
us ka dil patthar lagta hai
naqsh-e-qadam murshid ke chal kar
insan baala-tar lagta hai
dil le leta hai dil de kar
yun wo saudagar lagta hai
us mein nahin koi ifai
kyun ye mujhe aksar lagta hai
andaz-e-suKHan 'rahbar' se sikho
wo sha'ir bartar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.