ho kar wo mere sang na phir bhi mera hua
ho kar vo mere sañg na phir bhī mirā huā
bas 'āshiqī meñ honā thā jo bhī huā huā
kyā-kyā tujhe batā.ūñ bhalā zindagī kā haal
armān mere qalb kā har ik fanā huā
mat ban vakīl pyaar kā mat de koī dalīl
bātoñ se terī zaḳhm-e-mohabbat harā huā
dushman kā kyā batā.ūñ ki bhaa.ī kā hai ye haal
achchhā bhī kuchh kaho to vo ulTā ḳhafā huā
ḳhāmosh gar rahūñ to maiñ maġhrūr ho gayā
be-bāk kuchh kahūñ to nihāyat burā huā
jo qalb kā sukūñ hai mirī ziist meñ abhī
'rahbar' bhī us ke dil meñ kabhī thā basā huā
ho kar wo mere sang na phir bhi mera hua
bas 'ashiqi mein hona tha jo bhi hua hua
kya-kya tujhe bataun bhala zindagi ka haal
arman mere qalb ka har ek fana hua
mat ban wakil pyar ka mat de koi dalil
baaton se teri zaKHm-e-mohabbat hara hua
dushman ka kya bataun ki bhai ka hai ye haal
achchha bhi kuchh kaho to wo ulTa KHafa hua
KHamosh gar rahun to main maghrur ho gaya
be-bak kuchh kahun to nihayat bura hua
jo qalb ka sukun hai meri zist mein abhi
'rahbar' bhi us ke dil mein kabhi tha basa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.