aashiq hai gul-ezar kis ka
āshiq hai gul-ezār kis kā
dil us kā hai dāġhdār kis kā
har gul meñ ye sab bahār kis kī
hai sañg meñ ye sharār kis kā
nisbat to hai bas usī se sab ko
gul us ke hue to ḳhaar kis kā
izzat hai mirī to bas yahī hai
vo pūchheñ ki tū hai ḳhvār kis kā
roke use ishq-o-āshiqī se
hai dil par ye iḳhtiyār kis kā
ye haal khulā na kuchh bhī 'irfāñ'
hai tujh ko ye intizār kis kā
aashiq hai gul-ezar kis ka
dil us ka hai daghdar kis ka
har gul mein ye sab bahaar kis ki
hai sang mein ye sharar kis ka
nisbat to hai bas usi se sab ko
gul us ke hue to KHar kis ka
izzat hai meri to bas yahi hai
wo puchhen ki tu hai KHwar kis ka
roke use ishq-o-ashiqi se
hai dil par ye iKHtiyar kis ka
ye haal khula na kuchh bhi 'irfan'
hai tujh ko ye intizar kis ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.