husn pariyoñ kā sunā karte the par kuchh bhī nahīñ
duur kī Dhol suhānī thī magar kuchh bhī nahīñ
maiñ na mānūñgā na mānūñgā na mānūñgā kabhī
ham pe kyā kuchh huā kyā un ko ḳhabar kuchh bhī nahīñ
dil mujhe hijr meñ samjhātā hai aur dil ko ye maiñ
aur shab-bhar ye musībat hai sahar kuchh bhī nahīñ
fikr-e-hastī meñ jo mar-mar ke khulā bhī to ye haal
naqsh-bar-āb to kuchh bhī hai bashar kuchh bhī nahīñ
pusht-e-ḳhat saaf dikhā kar mujhe qāsid ne kahā
bas javāb un kā yahī hai ki idhar kuchh bhī nahīñ
kyuuñ mujhe dekh ke chup-chup ho sabab is kā kyā
tum to kahte the mohabbat meñ asar kuchh bhī nahīñ
ek sā haal mohabbat meñ hai apnā kab se
sunte the rañj kī bhī had hai magar kuchh bhī nahīñ
ham ne duniyā ko jo dekhā to khulā ye 'āshiq'
be-hunar ḳhuub haiñ sab ahl-e-hunar kuchh bhī nahīñ
husn pariyon ka suna karte the par kuchh bhi nahin
dur ki Dhol suhani thi magar kuchh bhi nahin
main na manunga na manunga na manunga kabhi
hum pe kya kuchh hua kya un ko KHabar kuchh bhi nahin
dil mujhe hijr mein samjhata hai aur dil ko ye main
aur shab-bhar ye musibat hai sahar kuchh bhi nahin
fikr-e-hasti mein jo mar-mar ke khula bhi to ye haal
naqsh-bar-ab to kuchh bhi hai bashar kuchh bhi nahin
pusht-e-KHat saf dikha kar mujhe qasid ne kaha
bas jawab un ka yahi hai ki idhar kuchh bhi nahin
kyun mujhe dekh ke chup-chup ho sabab is ka kya
tum to kahte the mohabbat mein asar kuchh bhi nahin
ek sa haal mohabbat mein hai apna kab se
sunte the ranj ki bhi had hai magar kuchh bhi nahin
hum ne duniya ko jo dekha to khula ye 'ashiq'
be-hunar KHub hain sab ahl-e-hunar kuchh bhi nahin
Source :
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 2)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.