aashkara raaz-e-husn-e-kibriya kyunkar hua
āshkārā rāz-e-husn-e-kibriyā kyūñkar huā
rah ke sau pardoñ meñ ālam-āshnā kyūñkar huā
ai masīhā mere dushman hoñ shifā se nā-umīd
tū salāmat dard merā lā-davā kyūñkar huā
apnā banda bhī mujhe kahtā hai phir muhtāj bhī
tujh se shāhanshāh kā banda gadā kyūñkar huā
pūchh le qātil zabān-e-teġh se sab sar-guzasht
kushte kis muñh se batā.eñ kyā huā kyūñkar huā
jīte-jī barsoñ maiñ taḌpā tab na lī tum ne ḳhabar
mar ga.e par pūchhte ho kyā huā kyūñkar huā
maiñ na mānūñgā ki dī aġhyār ne tarġhīb-e-qatl
dushmanoñ se dostī kā haq adā kyūñkar huā
maiñ na mānūñgā na ā.īne kā hai saarā qusūr
ḳhud-ba-ḳhud vo ḳhud-pasand-o-ḳhud-numā kyūñkar huā
us ne khīñchī teġh yaañ sar jhuk gayā qissa miTā
ḳhalq ye kyuuñ pūchhtī hai mājrā kyūñkar huā
chāTtī hai kyuuñ zabān-e-teġh-e-qātil baar baar
be-namak chhiḌke ye zaḳhmoñ meñ mazā kyūñkar huā
ulfat-e-gesū balā thī mar gayā phañs kar 'amīr'
hai baḌā jhagḌā na pūchho faisla kyūñkar huā
aashkara raaz-e-husn-e-kibriya kyunkar hua
rah ke sau pardon mein aalam-ashna kyunkar hua
ai masiha mere dushman hon shifa se na-umid
tu salamat dard mera la-dawa kyunkar hua
apna banda bhi mujhe kahta hai phir muhtaj bhi
tujh se shahanshah ka banda gada kyunkar hua
puchh le qatil zaban-e-tegh se sab sar-guzasht
kushte kis munh se bataen kya hua kyunkar hua
jite-ji barson main taDpa tab na li tum ne KHabar
mar gae par puchhte ho kya hua kyunkar hua
main na manunga ki di aghyar ne targhib-e-qatl
dushmanon se dosti ka haq ada kyunkar hua
main na manunga na aaine ka hai sara qusur
KHud-ba-KHud wo KHud-pasand-o-KHud-numa kyunkar hua
us ne khinchi tegh yan sar jhuk gaya qissa miTa
KHalq ye kyun puchhti hai majra kyunkar hua
chaTti hai kyun zaban-e-tegh-e-qatil bar bar
be-namak chhiDke ye zaKHmon mein maza kyunkar hua
ulfat-e-gesu bala thi mar gaya phans kar 'amir'
hai baDa jhagDa na puchho faisla kyunkar hua
- Book : Kalam-e-Ameer Minayee (Pg. 12)
- Author : Ameer Minayee
- Publication : Mashwara Book Dopt. Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.