Sufinama

shab-e-judai se tere dil kis qadar be-tab tha

Aashna Phulwarwi

shab-e-judai se tere dil kis qadar be-tab tha

Aashna Phulwarwi

MORE BYAashna Phulwarwi

    shab-e-judā.ī se tire dil kis qadar be-tāb thā

    dil na thā siina meñ mere pāra-e-sīmāb thā

    shab bajā.e āb-e-jārī chashm se ḳhūn-e-nāb thā

    diida kHūn-e-giriya se ham rañg-e-pur surḳhāb thā

    Duub marne jagah ye ki sail-e-ashk ko

    maiñ kahūñ thā sar se baalā vo kahe pāyāb thā

    bahr-e-ġham se thā nikalne mire uslūb kaun

    mauj ne phekā usī jānib jidhar ġharqāb thā

    'ishq-e-pechāñ 'āshiqoñ ke qabr pahchān the

    chādar-e-gul ke 'evaz rakhnā gul-e-lailāb thā

    jab talak dasht-e-junūñ meñ maiñ rahā sarsabz thā

    ābla-pā se mire jo ḳhaar thā shādāb thā

    nāla-o-afġhāñ mirā pahuñchā na us ke kaan tak

    āh-o-zārī meñ yahāñ shab kaT ga.ī vaañ ḳhvāb thā

    'āshnā' paidā karo kuchh haal chhoḌo qaal ko

    qaal terā agarche marġhūb-e-dil ahbāb thā

    shab-e-judai se tere dil kis qadar be-tab tha

    dil na tha sina mein mere para-e-simab tha

    shab bajae aab-e-jari chashm se KHun-e-nab tha

    dida kHun-e-giriya se hum rang-e-pur surKHab tha

    Dub marne ki jagah ye ki sail-e-ashk ko

    main kahun tha sar se baala wo kahe payab tha

    bahr-e-gham se tha nikalne ka mere uslub kaun

    mauj ne pheka usi jaanib jidhar gharqab tha

    'ishq-e-pechan 'ashiqon ke qabr ki pahchan the

    chadar-e-gul ke 'ewaz rakhna gul-e-lailab tha

    jab talak dasht-e-junun mein main raha sarsabz tha

    aabla-pa se mere jo KHar tha shadab tha

    nala-o-afghan mera pahuncha na us ke kan tak

    aah-o-zari mein yahan shab kaT gai wan KHwab tha

    'ashna' paida karo kuchh haal chhoDo qal ko

    qal tera agarche marghub-e-dil ahbab tha

    Source :
    • Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 30)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now