chashm-e-dil raushan hui ruKHsar-e-taban dekh kar
chashm-e-dil raushan huī ruḳhsār-e-tābāñ dekh kar
kyā kahūñ kyā maiñ ne paayā tujh ko ai jaañ dekh kar
mubtilā-e-soz-e-ġham ai sho.ala-rū maiñ hī nahīñ
jal bujhā hai ik jahāñ ruḳhsār-e-tābāñ dekh kar
safā.ī qalb kī malzūm hai bashar ke liye
ḳhudā-numā yahī ā.īna hai nazar ke liye
ye aarzū hai ki do tiir saath saath chaleñ
ki ek dil ke liye ho to ik jigar ke liye
lagā.ī us ne shab-e-va.ada paañv meñ mehñdī
ġhazab kī chaal nikālī agar magar ke liye
chashm-e-dil raushan hui ruKHsar-e-taban dekh kar
kya kahun kya main ne paya tujh ko ai jaan dekh kar
mubtila-e-soz-e-gham ai shoala-ru main hi nahin
jal bujha hai ek jahan ruKHsar-e-taban dekh kar
safai qalb ki malzum hai bashar ke liye
KHuda-numa yahi aaina hai nazar ke liye
ye aarzu hai ki do tir sath sath chalen
ki ek dil ke liye ho to ek jigar ke liye
lagai us ne shab-e-wada panw mein mehndi
ghazab ki chaal nikali agar magar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.