ilahi bandh rahi hai aaj gulshan mein hawa kis ki
ilāhī bañdh rahī hai aaj gulshan meñ havā kis kī
liye phirtī hai ḳhushbū dam-ba-dam bād-e-sabā kis kī
huī hai is tarah se be-asar yārab duā kis kī
phir aatī hai falak se jā ke āh-e-nā-rasā kis kī
luTā jaatā hai dil aur aaj lahroñ par ye lahreñ haiñ
jigar meñ ban ke nāgin Dastī hai zulf-e-dotā kis kī
kiyā vaar us ne ġhairoñ par mare ham rashk ke maare
tamāshā hai ilāhī lag ga.ī kis ko qazā kis kī
kahāñ mumkin hai kis se intizār-e-yār ho mujh sā
rahegī phir bhī yūñhī misl-e-nargis aañkh vā kis kī
tah-o-bālā huā jaatā hai dil pahlū meñ kyā baa.is
chalā aatā hai kaun aatī hai ghuñgrū kī sadā kis kī
laḌīñ zulfoñ se āñkheñ aur dil kī shāmateñ aa.iiñ
paḌī hai yā-ilāhī kis ke sar jā kar balā kis kī
ḳhafā sayyād hai chiiñ bar jabīñ gulchīñ hai kyā baa.is
burā kis kā kiyā taqsīr kī ham ne bhalā kis kī
ilahi bandh rahi hai aaj gulshan mein hawa kis ki
liye phirti hai KHushbu dam-ba-dam baad-e-saba kis ki
hui hai is tarah se be-asar yarab dua kis ki
phir aati hai falak se ja ke aah-e-na-rasa kis ki
luTa jata hai dil aur aaj lahron par ye lahren hain
jigar mein ban ke nagin Dasti hai zulf-e-dota kis ki
kiya war us ne ghairon par mare hum rashk ke mare
tamasha hai ilahi lag gai kis ko qaza kis ki
kahan mumkin hai kis se intizar-e-yar ho mujh sa
rahegi phir bhi yunhi misl-e-nargis aankh wa kis ki
tah-o-baala hua jata hai dil pahlu mein kya bais
chala aata hai kaun aati hai ghungru ki sada kis ki
laDin zulfon se aankhen aur dil ki shamaten aain
paDi hai ya-ilahi kis ke sar ja kar bala kis ki
KHafa sayyaad hai chin bar jabin gulchin hai kya bais
bura kis ka kiya taqsir ki hum ne bhala kis ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.