abr-e-dud-e-dil jo ghar ko chhae rahta hai mere
abr-e-dūd-e-dil jo ghar ko chhā.e rahtā hai mere
rahtī hai furqat kī shab bāhar hī bāhar chāñdnī
bhej ek saa.at ko dil meñ rū-e-tābāñ kā ḳhayāl
mere vīrāne meñ bhī ho jaa.e dam-bhar chāñdnī
ek hafte se dilāte haiñ ye sātoñ terī yaad
dasht dariyā sabza saaqī shīsha sāġhar chāñdnī
qatl kartī hai mujhe furqat kī shab sair-e-chaman
saare pattoñ kā banā detī hai ḳhanjar chāñdnī
dūd-e-dil siine meñ hai jaañ rū-e-jānāñ rū-ba-rū
ghar ke andar hai añdherā aur bāhar chāñdnī
abr-e-dud-e-dil jo ghar ko chhae rahta hai mere
rahti hai furqat ki shab bahar hi bahar chandni
bhej ek saat ko dil mein ru-e-taban ka KHayal
mere virane mein bhi ho jae dam-bhar chandni
ek hafte se dilate hain ye saton teri yaad
dasht dariya sabza saqi shisha saghar chandni
qatl karti hai mujhe furqat ki shab sair-e-chaman
sare patton ka bana deti hai KHanjar chandni
dud-e-dil sine mein hai jaan ru-e-jaanan ru-ba-ru
ghar ke andar hai andhera aur bahar chandni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.