ab sunae kise haal-e-dil-e-sozan koi
ab sunā.e kise hāl-e-dil-e-sozāñ koī
sāhab-e-dard to miltā nahīñ insāñ koī
ḳhaak kar ke mire zarroñ ko pareshāñ kar de
dil meñ rah jaaye jafā-kār na armāñ koī
imtihāñ bhī nigah-e-shauq kā ho jā.egā
ho ke dekhe to sar-e-bazm numāyāñ koī
mire sayyād ko bā-vasf-e-asīrī hai ye ḳhauf
maiñ qafas meñ bhī banā lūñgā gulistāñ koī
be-kasī par bhī merā hausla-e-dil dekhiye
pher to de mirī jānib ruḳh-e-tūfāñ koī
ham sambhalne bhī na paa.e the sar-e-mahfil-e-nāz
luuT ke le gayā sarmāya-e-īmāñ koī
bāda-e-ishq se parhez sitam hai zāhid
be-piye bhī kahīñ hotā hai musalmāñ koī
is qadar yaad hai bas ishq kī rūdād 'hayāt'
jaise dekhā thā kabhī ḳhvāb-e-pareshāñ koī
ab sunae kise haal-e-dil-e-sozan koi
sahab-e-dard to milta nahin insan koi
KHak kar ke mere zarron ko pareshan kar de
dil mein rah jaye jafa-kar na arman koi
imtihan bhi nigah-e-shauq ka ho jaega
ho ke dekhe to sar-e-bazm numayan koi
mere sayyaad ko ba-wasf-e-asiri hai ye KHauf
main qafas mein bhi bana lunga gulistan koi
be-kasi par bhi mera hausla-e-dil dekhiye
pher to de meri jaanib ruKH-e-tufan koi
hum sambhalne bhi na pae the sar-e-mahfil-e-naz
luT ke le gaya sarmaya-e-iman koi
baada-e-ishq se parhez sitam hai zahid
be-piye bhi kahin hota hai musalman koi
is qadar yaad hai bas ishq ki rudad 'hayat'
jaise dekha tha kabhi KHwab-e-pareshan koi
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 175)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.