jab gham-e-ishq se aankh tar ho gai
jab ġham-e-'ishq se aañkh tar ho ga.ī
muḳhtasar zindagī mo'atabar ho ga.ī
maiñ ne rakkhā qadam jab rah-e-'ishq meñ
yaad un kī mirī ham-safar ho ga.ī
baat jo baḌh ga.ī thī bahut 'ishq meñ
harf-e-mansūr par muḳhtasar ho ga.ī
manzil-e-'ishq meñ gum hue ham to kyā
be-ḳhabar ho ke apnī ḳhabar ho ga.ī
un ke jalve nazar meñ samā.ae to kyā
dil kī duniyā to zer-o-zabar ho ga.ī
merī mayyat pe aañsū bahāte haiñ vo
ab to rūdād-e-ġham mo'atabar ho ga.ī
ab to rūdād sā'at ‘ġhafūr’
jab mirī samt un kī nazar ho ga.ī
jab gham-e-'ishq se aankh tar ho gai
muKHtasar zindagi mo'atabar ho gai
main ne rakkha qadam jab rah-e-'ishq mein
yaad un ki meri ham-safar ho gai
baat jo baDh gai thi bahut 'ishq mein
harf-e-mansur par muKHtasar ho gai
manzil-e-'ishq mein gum hue hum to kya
be-KHabar ho ke apni KHabar ho gai
un ke jalwe nazar mein samaae to kya
dil ki duniya to zer-o-zabar ho gai
meri mayyat pe aansu bahate hain wo
ab to rudad-e-gham mo'atabar ho gai
ab to rudad sa'at ‘ghafur’
jab meri samt un ki nazar ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.