husn ko meri rag-o-pai mein samate jao
husn ko merī rag-o-pai meñ samāte jaao
jaao lekin mujhe dīvāna banāte jaao
nigah naaz kī taskīñ to kuchh ho jaa.e
dil meñ jo hashr uThānā hai uThāte jaao
tarbiyat aur nigāhoñ kī abhī baaqī hai
dil meñ aa.e ho to āñkhoñ meñ samāte jaao
fursat-e-chāra-garī kī to shikāyat na rahe
dard ko bā'is-e-taskīn banāte jaao
'umr-bhar nāla-o-fariyād se fursat na mile
husn ke aise karishme bhī dikhāte jaao
jā rahe ho tum agar bazm se un kī to ‘ġhafūr’
kuchh to haal shab-e-ġham un ko sunāte jaao
husn ko meri rag-o-pai mein samate jao
jao lekin mujhe diwana banate jao
nigah naz ki taskin to kuchh ho jae
dil mein jo hashr uThana hai uThate jao
tarbiyat aur nigahon ki abhi baqi hai
dil mein aae ho to aankhon mein samate jao
fursat-e-chaara-gari ki to shikayat na rahe
dard ko ba'is-e-taskin banate jao
'umr-bhar nala-o-fariyaad se fursat na mile
husn ke aise karishme bhi dikhate jao
ja rahe ho tum agar bazm se un ki to ‘ghafur’
kuchh to haal shab-e-gham un ko sunate jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.