qissa-e-dard wo sunte unhen parwa kya hai

qissa-e-dard wo sunte unhen parwa kya hai
Abdul Ghafoor Sambhali
MORE BYAbdul Ghafoor Sambhali
qissa-e-dard vo sunte unheñ parvā kyā hai
ai dil-e-zār ye āḳhir tujhe saudā kyā hai
har taraf lutf-r-do-'ālam ki bar aa.ī ummīd
mujh se vo pūchhte haiñ terī tamannā kyā hai
liye jaatā hai mujhe phir tire kūcha kī taraf
dil-e-muztar kā ḳhudā jaane irāda kyā hai
tujh ko ai chashm-e-fusūñ-sāz nigāhoñ kī qasam
sach batā de dil-e-marhūm kā qissa kyā hai
ho chukī ḳhatm du'ā.eñ na huā 'ahd-e-vafā
jaane qismat meñ dil-e-zār kī likkhā kyā hai
parda-dārī ne tirī kar diyā rusvā tujh ko
kuchh ḳhabar bhī hai ye tirā charchā kyā hai
shāfe'-e-hashr meñ jaamī tirā mahshar meñ ‘ġhafūr’
phir batā ḳhauf tujhe roz-e-jazā kā kyā hai
qissa-e-dard wo sunte unhen parwa kya hai
ai dil-e-zar ye aaKHir tujhe sauda kya hai
har taraf lutf-r-do-'alam ki bar aai ummid
mujh se wo puchhte hain teri tamanna kya hai
liye jata hai mujhe phir tere kucha ki taraf
dil-e-muztar ka KHuda jaane irada kya hai
tujh ko ai chashm-e-fusun-saz nigahon ki qasam
sach bata de dil-e-marhum ka qissa kya hai
ho chuki KHatm du'aen na hua 'ahd-e-wafa
jaane qismat mein dil-e-zar ki likkha kya hai
parda-dari ne teri kar diya ruswa tujh ko
kuchh KHabar bhi hai ye tera charcha kya hai
shafe'-e-hashr mein jami tera mahshar mein ‘ghafur’
phir bata KHauf tujhe roz-e-jaza ka kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.