ek iztirab-e-shauq ki duniya liye hue
ik iztirāb-e-shauq kī duniyā liye hue
maiñ phir rahā huuñ terī tamannā liye hue
har shai meñ dekhtā huuñ koī manzar-e-jamāl
aayā huuñ tere husn kā jalvā liye hue
kab aa.e haiñ vo pūchhne bīmār-e-ġham kā haal
jab jā rahe haiñ log janāzā liye hue
sadma marīz-e-ġham kā uThāyā na jā.egā
baiThe haiñ kyuuñ janāb masīhā liye hue
dekhā hai ham ne tum ko tasavvur meñ bārhā
ik jumbish-e-nigāh meñ kyā kyā liye hue
rūdād-e-ġham sunāne chalā huuñ kisī ko maiñ
ashkoñ meñ tarjumānī-e-dariyā liye hue
kyā fikr mujh ko baḳhshish 'isyāñ kī ho ‘ġhafūr’
āḳhir to huuñ maiñ un kā sahārā liye hue
ek iztirab-e-shauq ki duniya liye hue
main phir raha hun teri tamanna liye hue
har shai mein dekhta hun koi manzar-e-jamal
aaya hun tere husn ka jalwa liye hue
kab aae hain wo puchhne bimar-e-gham ka haal
jab ja rahe hain log janaza liye hue
sadma mariz-e-gham ka uThaya na jaega
baiThe hain kyun janab masiha liye hue
dekha hai hum ne tum ko tasawwur mein barha
ek jumbish-e-nigah mein kya kya liye hue
rudad-e-gham sunane chala hun kisi ko main
ashkon mein tarjumani-e-dariya liye hue
kya fikr mujh ko baKHshish 'isyan ki ho ‘ghafur’
aaKHir to hun main un ka sahaara liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.