dard-e-mohabbat kar ke qubul
dard-e-mohabbat kar ke qubūl
mujh se huī hai kaisī bhuul
shart nazar hai dekhne vaale
yuuñ hī nahīñ gulzār ke phuul
merī lagan kuchh aur hai saaqī
jām-o-subū haiñ tere fuzūl
dair-o-haram se kaam nahīñ hai
'ishq ke haiñ kuchh aur usuul
laakh chhupā.ūñ chhup na sakegā
kis ke liye ye dil hai malūl
nāseh mushfiq terī bāteñ
kah to chukā huuñ sab haiñ fuzūl
vādī-e-aiman dekh rahā huuñ
dil pe tajallī kā hai nuzūl
dil meñ tasavvur yaad diloñ meñ
aur hai kyā merā mā’mūl
dil ke taqāze un se ‘ġhfūr’
hoñ na shikāyat par mahmūl
dard-e-mohabbat kar ke qubul
mujh se hui hai kaisi bhul
shart nazar hai dekhne wale
yun hi nahin gulzar ke phul
meri lagan kuchh aur hai saqi
jam-o-subu hain tere fuzul
dair-o-haram se kaam nahin hai
'ishq ke hain kuchh aur usul
lakh chhupaun chhup na sakega
kis ke liye ye dil hai malul
naseh mushfiq teri baaten
kah to chuka hun sab hain fuzul
wadi-e-aiman dekh raha hun
dil pe tajalli ka hai nuzul
dil mein tasawwur yaad dilon mein
aur hai kya mera ma’mul
dil ke taqaze un se ‘ghfur’
hon na shikayat par mahmul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.