subut ab is se baDh kar aur kya hai teri azmat ka

subut ab is se baDh kar aur kya hai teri azmat ka
Abdul Hadi Kavish
MORE BYAbdul Hadi Kavish
subūt ab is se baḌh kar aur kyā hai terī 'azmat kā
ki lahrātā hai parcham 'arsh par terī vilāyat kā
hayāt-e-kHizr ik jānib aur ik pal terī sohbat kā
do-'ālam ik taraf aur ek sajda terī chaukhaT kā
koī ham-sar nahīñ terā tū yaktā-e-zamāna hai
shahādat de rahā hai zarra-zarra terī vahdat kā
vo sābir kaliyarī hoñ yā mu’īnuddīn ajmerī
har ik muhtāj hai tauhīd meñ terī qayādat kā
shahanshāh-e-vilāyat hai 'alī sher-e-ḳhudā hai tū
rahā mamnūn hai har ik nabī terī 'ināyat kā
zarūrat kyā use phir saum-o-sajde aur taqvā kī
sharaf hāsil ho jis ko is jahāñ meñ terī sohbat kā
jamāl-e-panjatan hai zau-fishāñ rū-e-munavvar par
hai raushan jis se 'ālam nuur hai vo terī tal’at kā
kahā thā lan-tarānī bhī kalīm-ullāh se lekin
sharaf hāsil hai har mushtāq ko ab terī rūyat kā
tujhī ko jāgte sote tire kāvish ne dekhā hai
hai jalva-e-huzūrī ḳhaas tohfa terī ulfat kā
subut ab is se baDh kar aur kya hai teri 'azmat ka
ki lahraata hai parcham 'arsh par teri wilayat ka
hayat-e-kHizr ek jaanib aur ek pal teri sohbat ka
do-'alam ek taraf aur ek sajda teri chaukhaT ka
koi ham-sar nahin tera tu yakta-e-zamana hai
shahadat de raha hai zarra-zarra teri wahdat ka
wo sabir kaliyari hon ya mu’inuddin ajmeri
har ek muhtaj hai tauhid mein teri qayaadat ka
shahanshah-e-wilayat hai 'ali sher-e-KHuda hai tu
raha mamnun hai har ek nabi teri 'inayat ka
zarurat kya use phir saum-o-sajde aur taqwa ki
sharaf hasil ho jis ko is jahan mein teri sohbat ka
jamal-e-panjatan hai zau-fishan ru-e-munawwar par
hai raushan jis se 'alam nur hai wo teri tal’at ka
kaha tha lan-tarani bhi kalim-ullah se lekin
sharaf hasil hai har mushtaq ko ab teri ruyat ka
tujhi ko jagte sote tere kawish ne dekha hai
hai jalwa-e-huzuri KHas tohfa teri ulfat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.