kaba na to mehrab-e-haram dekh raha hun
ka.aba na to mehrāb-e-haram dekh rahā huuñ
is vaqt meñ abrū-e-sanam dekh rahā huuñ
kal tak to āmāda rahe zulm-o-sitam par
kyā baat hai aaj un kā karam dekh rahā huuñ
hai dil meñ ḳhalish lab pe fuġhāñ aañkh meñ aañsū
kyā kyā na mohabbat meñ qasam dekh rahā huuñ
pairoñ ke nishāñ yuuñ to sar-e-rāh bahut haiñ
kaun un kā hai vo naqsh-e-qadam dekh rahā huuñ
lagtā hai koī aaj gayā sahn-e-chaman se
maiñ kaliyoñ ko ba.ad-e-nam dekh rahā huuñ
'maikash' abhī ye saaqī mai-ḳhāna nayā hai
mai is liye paimāna meñ kam dekhā rahā huuñ
kaba na to mehrab-e-haram dekh raha hun
is waqt mein abru-e-sanam dekh raha hun
kal tak to aamada rahe zulm-o-sitam par
kya baat hai aaj un ka karam dekh raha hun
hai dil mein KHalish lab pe fughan aankh mein aansu
kya kya na mohabbat mein qasam dekh raha hun
pairon ke nishan yun to sar-e-rah bahut hain
kaun un ka hai wo naqsh-e-qadam dekh raha hun
lagta hai koi aaj gaya sahn-e-chaman se
main kaliyon ko baad-e-nam dekh raha hun
'maikash' abhi ye saqi mai-KHana naya hai
mai is liye paimana mein kam dekha raha hun
- Book : Silsila-e-Warisiya ke makhsoos Shora-e-kram (Pg. 118)
- Author : Dr.Kabiruddin Khan Warsi
- Publication : Eram Printers, Dariyapur,Patna, (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.