wo baaten teri wo fasane tere
vo bāteñ tirī vo fasāne tire
shagufta-shagufta bahāne tire
bas ik dāġh-e-sajda mirī kā.ināt
jabīneñ tirī āstāne tire
bas ik zaḳhm-e-nazzāra hissa mirā
bahāreñ tirī āshiyāne tire
faqīroñ kā jamghaT ghaḌī-do-ghaḌī
sharābeñ tirī bāda-ḳhāne tire
zamīr-e-sadaf meñ kiran kā maqām
anokhe-anokhe Thikāne tire
bahār-o-ḳhizāñ kam-nigāhoñ ke vahm
bure yā bhale sab zamāne tire
'adam' bhī hai terā hikāyat-kada
kahāñ tak ga.e haiñ fasāne tire
wo baaten teri wo fasane tere
shagufta-shagufta bahane tere
bas ek dagh-e-sajda meri kainat
jabinen teri aastane tere
bas ek zaKHm-e-nazzara hissa mera
bahaaren teri aashiyane tere
faqiron ka jamghaT ghaDi-do-ghaDi
sharaben teri baada-KHane tere
zamir-e-sadaf mein kiran ka maqam
anokhe-anokhe Thikane tere
bahaar-o-KHizan kam-nigahon ke wahm
bure ya bhale sab zamane tere
'adam' bhi hai tera hikayat-kada
kahan tak gae hain fasane tere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.