dil tha ki phul ban ke bikharta chala gaya
dil thā ki phuul ban ke bikhartā chalā gayā
tasvīr kā jamāl ubhartā chalā gayā
shaam aa.ī aur aa.ī kuchh is ehtimām se
vo gesū-e-darāz bikhartā chalā gayā
ġham kī lakīr thī ki ḳhushī kā udaas rañg
har naqsh ā.īne meñ ubhartā chalā gayā
har chand rāste meñ the kāñTe bichhe hue
jis ko terī talab thī guzartā chalā gayā
jab tak tirī nigāh ne taufīq dī mujhe
maiñ terī zulf ban ke sañvartā chalā gayā
do-hī to kaam the dil-e-nādāñ ko ai 'adam'
jiitā chalā gayā kabhī martā chalā gayā
dil tha ki phul ban ke bikharta chala gaya
taswir ka jamal ubharta chala gaya
sham aai aur aai kuchh is ehtimam se
wo gesu-e-daraaz bikharta chala gaya
gham ki lakir thi ki KHushi ka udas rang
har naqsh aaine mein ubharta chala gaya
har chand raste mein the kanTe bichhe hue
jis ko teri talab thi guzarta chala gaya
jab tak teri nigah ne taufiq di mujhe
main teri zulf ban ke sanwarta chala gaya
do-hi to kaam the dil-e-nadan ko ai 'adam'
jita chala gaya kabhi marta chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.