KHirad ke dam mein jo aa gae hain
ḳhirad ke daam meñ jo aa ga.e haiñ
vo dānish-mand dhokā khā ga.e haiñ
abhī to fasl-e-gul kī ibtidā thī
abhī se phuul kyuuñ murjhā ga.e haiñ
kuchh aise aap ne pherī haiñ āñkheñ
zamāne ke sitam sharmā ga.e haiñ
tirī āñkhoñ kī farmā.ish pe insāñ
fareb-e-zindagī bhī khā ga.e haiñ
'adam' se zindagī rūThī huī thī
ḳhudā kā shukr hai aap aa ga.e haiñ
KHirad ke dam mein jo aa gae hain
wo danish-mand dhoka kha gae hain
abhi to fasl-e-gul ki ibtida thi
abhi se phul kyun murjha gae hain
kuchh aise aap ne pheri hain aankhen
zamane ke sitam sharma gae hain
teri aankhon ki farmaish pe insan
fareb-e-zindagi bhi kha gae hain
'adam' se zindagi ruThi hui thi
KHuda ka shukr hai aap aa gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.