fursat ke suhane lamhon mein kya kaam ki baaten hoti hain

fursat ke suhane lamhon mein kya kaam ki baaten hoti hain
Abdul Hameed Adam
MORE BYAbdul Hameed Adam
fursat ke suhāne lamhoñ meñ kyā kaam kī bāteñ hotī haiñ
kuchh yaar kā qissa hotā hai kuchh jaam kī bāteñ hotī haiñ
ai dost tabassum kī lahreñ hoñToñ pe kahāñ se ab lā.ūñ
hālāt ke maile hote haiñ ayyām kī bāteñ hotī haiñ
arbāb-e-ḳhirad kī mahfil meñ dil aur pareshāñ hotā hai
kuchh soch ke vaqfe hote haiñ kuchh kaam kī bāteñ hotī haiñ
ālām-e-zamāna fursat deñ to baiTh ke dil kā haal kahīñ
us zulf-e-musalsal kī bāteñ ārām kī bāteñ hotī haiñ
jis vaqt 'adam' dil duniyā ke afkār se ḳhālī hotā hai
us vaqt jo bāteñ hotī haiñ ilhām kī bāteñ hotī haiñ
fursat ke suhane lamhon mein kya kaam ki baaten hoti hain
kuchh yar ka qissa hota hai kuchh jam ki baaten hoti hain
ai dost tabassum ki lahren honTon pe kahan se ab laun
haalat ke maile hote hain ayyam ki baaten hoti hain
arbab-e-KHirad ki mahfil mein dil aur pareshan hota hai
kuchh soch ke waqfe hote hain kuchh kaam ki baaten hoti hain
aalam-e-zamana fursat den to baiTh ke dil ka haal kahin
us zulf-e-musalsal ki baaten aaram ki baaten hoti hain
jis waqt 'adam' dil duniya ke afkar se KHali hota hai
us waqt jo baaten hoti hain ilham ki baaten hoti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.