auron ka kuchh kalam hai mera kalam aur
auroñ kā kuchh kalām hai merā kalām aur
ahl-e-vatan ke naam hai merā payām aur
lab sī liye haiñ ahl-e-ḳhirad ne ba-ehtiyāt
kyā dekhiye dikhā.iye abhī aql-e-ḳhām aur
pīchhe rahe na des taraqqī kī raah meñ
mardān-e-kār-zār zarā tez-gām aur
kuchh tishna-lab idhar bhī haiñ saaqī ummīd-vār
ye kyā ki jo pii.ye haiñ inhīñ ko hai jaam aur
apnī ġham-e-hayāt se nazreñ milī raheñ
vo ham-nazar nahīñ haiñ na hoñ ham-kalām aur
bhārat ke naam ko bhī lageñ jis se chār-chāñd
kuchh to 'jalīl' aap kareñ aise kaam aur
auron ka kuchh kalam hai mera kalam aur
ahl-e-watan ke nam hai mera payam aur
lab si liye hain ahl-e-KHirad ne ba-ehtiyat
kya dekhiye dikhaiye abhi aql-e-KHam aur
pichhe rahe na des taraqqi ki rah mein
mardan-e-kar-zar zara tez-gam aur
kuchh tishna-lab idhar bhi hain saqi ummid-war
ye kya ki jo piye hain inhin ko hai jam aur
apni gham-e-hayat se nazren mili rahen
wo ham-nazar nahin hain na hon ham-kalam aur
bhaarat ke nam ko bhi lagen jis se chaar-chand
kuchh to 'jalil' aap karen aise kaam aur
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 112)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.