sabhi ko jurat-e-ibn-e-ali nahin milti
sabhī ko jur.at-e-ibn-e-alī nahīñ miltī
ye us kī den hai māñge kabhī nahīñ miltī
na rāste kā pata hai na saḳht manzil kā
bhaTak rahā hai jahāñ rahbarī nahīñ miltī
vatan-parastī to mil jaatī hai jagah ba-jagah
ḳhudā gavāh vatan parvarī nahīñ miltī
nafāq-o-buġhz-o-ta.assub kā vo añdherā hai
ba-sad talāsh koī raushnī nahīñ miltī
samāj-vād ke na.are to haiñ buland bahut
magar vo baat jo hai adal kī nahīñ miltī
jise tamāniyat-e-qalb kahtī hai duniyā
baġhair zikr-e-ilāhī vahī nahīñ miltī
suḳhan-shanās hī degā 'jalīl' dād-e-suḳhan
yahāñ to daad ba-juz naġhmagī nahīñ miltī
sabhi ko jurat-e-ibn-e-ali nahin milti
ye us ki den hai mange kabhi nahin milti
na raste ka pata hai na saKHt manzil ka
bhaTak raha hai jahan rahbari nahin milti
watan-parasti to mil jati hai jagah ba-jagah
KHuda gawah watan parwari nahin milti
nafaq-o-bughz-o-tassub ka wo andhera hai
ba-sad talash koi raushni nahin milti
samaj-wad ke nare to hain buland bahut
magar wo baat jo hai adal ki nahin milti
jise tamaniyat-e-qalb kahti hai duniya
baghair zikr-e-ilahi wahi nahin milti
suKHan-shanas hi dega 'jalil' dad-e-suKHan
yahan to dad ba-juz naghmagi nahin milti
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 112)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.