hai kaisi rashk firdaus-e-barin ye bazm-e-la-sani
hai kaisi rashk firdaus-e-barin ye bazm-e-la-sani
Abdul Kareem Muztar
MORE BYAbdul Kareem Muztar
hai kaisī rashk firdaus-e-barīñ ye bazm-e-lā-sānī
ki jis par kar rahī hai rahmat-e-haq gauhar-afshānī
rasūloñ meñ mohammad mustafā be-misl-o-yaktā haiñ
ḳhudā yaktā hai jab phir kyuuñ na ho mahbūb-e-lā-fānī
munavvar hai ye saarī bazm-e-anvār-e-ilāhī se
sharīk-e-bazm-e-aqdas ho ke kar lo qalb-e-nūrānī
masīhā se marīz-e-ġham kā chāra ġhair-mumkin hai
mire to dard-e-pinhāñ kī kareñge aap darbānī
ḳhudā hai nāḳhudā mahbūb kī ummat ke beḌe kā
vo ḳhud karatā hai is ummat ke beḌe kī nigahbānī
jo is dar par jhukā aakar milā us ko ḳhudā 'muztar'
hai is dar kī gadā.ī behtaraz taḳht-e-sulaimānī
hai kaisi rashk firdaus-e-barin ye bazm-e-la-sani
ki jis par kar rahi hai rahmat-e-haq gauhar-afshani
rasulon mein mohammad mustafa be-misl-o-yakta hain
KHuda yakta hai jab phir kyun na ho mahbub-e-la-fani
munawwar hai ye sari bazm-e-anwar-e-ilahi se
sharik-e-bazm-e-aqdas ho ke kar lo qalb-e-nurani
masiha se mariz-e-gham ka chaara ghair-mumkin hai
mere to dard-e-pinhan ki karenge aap darbani
KHuda hai naKHuda mahbub ki ummat ke beDe ka
wo KHud karata hai is ummat ke beDe ki nigahbani
jo is dar par jhuka aakar mila us ko KHuda 'muztar'
hai is dar ki gadai behtaraz taKHt-e-sulaimani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.