khinch kar KHalwat-kade se dar tak lai mujhe
khīñch kar ḳhalvat-kade se daar tak laa.ī mujhe
ai junūñ mahñgī paḌī terī shanāsā.ī mujhe
phir hañsī aa.ī mujhe lo phir hañsī aa.ī mujhe
sozish-e-ġham ne banā Daalā hai saudā.ī mujhe
tum ne marham rakh diyā aur zaḳhm saare khil uThe
yaad to rakhnī paḌegī ye masīhā.ī mujhe
ḳhush raho tum ko mubārak ho tumhārī anjuman
raas aane lag ga.ī hai apnī tanhā.ī mujhe
dekhtā huuñ maiñ qafas meñ 'shauq' apne zaḳhm ko
yaad aatī hai mire gulshan kī ra.anā.ī mujhe
khinch kar KHalwat-kade se dar tak lai mujhe
ai junun mahngi paDi teri shanasai mujhe
phir hansi aai mujhe lo phir hansi aai mujhe
sozish-e-gham ne bana Dala hai saudai mujhe
tum ne marham rakh diya aur zaKHm sare khil uThe
yaad to rakhni paDegi ye masihai mujhe
KHush raho tum ko mubarak ho tumhaari anjuman
ras aane lag gai hai apni tanhai mujhe
dekhta hun main qafas mein 'shauq' apne zaKHm ko
yaad aati hai mere gulshan ki ranai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.