log nashtar pe nashtar lagate rahe
log nashtar pe nashtar lagāte rahe
ham mohabbat bhare giit gaate rahe
ābrū-e-mohabbat nazar meñ rahī
zaḳhm khāte rahe muskurāte rahe
tiir ban ban ke chubhtī rahī har kiran
ham bhī sūraj se nazreñ milāte rahe
ishq ne mujh ko baḳhshe the vo hausle
jo mujhe aag par bhī chalāte rahe
'shauq' retoñ pe karnī thiiñ gul-kāriyāñ
aable paañv ke kaam aate rahe
log nashtar pe nashtar lagate rahe
hum mohabbat bhare git gate rahe
aabru-e-mohabbat nazar mein rahi
zaKHm khate rahe muskuraate rahe
tir ban ban ke chubhti rahi har kiran
hum bhi suraj se nazren milate rahe
ishq ne mujh ko baKHshe the wo hausle
jo mujhe aag par bhi chalate rahe
'shauq' reton pe karni thin gul-kariyan
aable panw ke kaam aate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.