kahan hai jeb aur daman kahan hai
kahāñ hai jeb aur dāman kahāñ hai
junūñ se pūchh ab kyuuñ mehrbāñ hai
yaqīnan aap mujh se kuchh ḳhafā haiñ
zamīñ dushman hai barham āsmāñ hai
jhukī hai ye jabīñ merī jahāñ par
tumhārā hī vo sañg-e-āstāñ hai
kashākash hai falak meñ aur zamīñ meñ
idhar bijlī udhar ik āshiyāñ hai
paḌeñ haiñ ashk kī būñdeñ jo ḳhat par
paḌhī jaaye to paḌh lo dāstāñ hai
kahan hai jeb aur daman kahan hai
junun se puchh ab kyun mehrban hai
yaqinan aap mujh se kuchh KHafa hain
zamin dushman hai barham aasman hai
jhuki hai ye jabin meri jahan par
tumhaara hi wo sang-e-astan hai
kashakash hai falak mein aur zamin mein
idhar bijli udhar ek aashiyan hai
paDen hain ashk ki bunden jo KHat par
paDhi jaye to paDh lo dastan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.