mai-kashon par na mai-o-jam pe rona aaya
mai-kashoñ par na mai-o-jām pe ronā aayā
mujh ko mai-ḳhāne ke anjām pe ronā aayā
jis meñ ummīd na thī sub.h-e-digar kī koī
apnī hastī kī usī shaam pe ronā aayā
kabhī ronā thā mujhe ishq kī nākāmī kā
aaj ḳhud husn ke anjām pe ronā aayā
zahmateñ itnī aur ik said-e-zabūñ kī ḳhātir
mujh ko sayyād tire daam pe ronā aayā
ġham ġhalat karne kī tadbīr to kī thī 'tarzī'
apne hisse ke har ik jaam pe ronā aayā
mai-kashon par na mai-o-jam pe rona aaya
mujh ko mai-KHane ke anjam pe rona aaya
jis mein ummid na thi subh-e-digar ki koi
apni hasti ki usi sham pe rona aaya
kabhi rona tha mujhe ishq ki nakaami ka
aaj KHud husn ke anjam pe rona aaya
zahmaten itni aur ek said-e-zabun ki KHatir
mujh ko sayyaad tere dam pe rona aaya
gham ghalat karne ki tadbir to ki thi 'tarzi'
apne hisse ke har ek jam pe rona aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.