hasin milte hain dard-e-’ishq ka hamil nahin milta
hasin milte hain dard-e-’ishq ka hamil nahin milta
Abdul Mannan Tarzi
MORE BYAbdul Mannan Tarzi
hasīñ milte haiñ dard-e-’ishq kā hāmil nahīñ miltā
mizāj-e-vaqt kyā badlā ki ahl-e-dil nahīñ miltā
zabān-e-ḳhalq vaqf-e-shikva-e-nā-iltifātī hai
ki bismil to hazāroñ haiñ koī qātil nahīñ miltā
dhulī jaatī hai ashk-e-sham’ se ab ḳhāk-e-parvāna
ġhalat hai ye ki jal marne kā kuchh hāsil nahīñ miltā
Thahar le dil to tūfāñ kī kaho hālat abhī ye hai
ki sāhil par pahuñch kar bhī mujhe sāhil nahīñ miltā
tumhārī justujū meñ sab asīr-e-ārzū nikle
magar 'tarzī' ke aisā to ze-ḳhud ġhāfil nahīñ miltā
hasin milte hain dard-e-’ishq ka hamil nahin milta
mizaj-e-waqt kya badla ki ahl-e-dil nahin milta
zaban-e-KHalq waqf-e-shikwa-e-na-iltifati hai
ki bismil to hazaron hain koi qatil nahin milta
dhuli jati hai ashk-e-sham’ se ab KHak-e-parwana
ghalat hai ye ki jal marne ka kuchh hasil nahin milta
Thahar le dil to tufan ki kaho haalat abhi ye hai
ki sahil par pahunch kar bhi mujhe sahil nahin milta
tumhaari justuju mein sab asir-e-arzu nikle
magar 'tarzi' ke aisa to ze-KHud ghafil nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.