tauba-tauba us ka jalwa kuchh na tha
tauba-tauba us kā jalvā kuchh na thā
sach to ye hai maiñ ne dekhā kuchh na thā
apnī hālat par nazar farmā.iye
ye na kahiye terā qissā kuchh na thā
ashk-e-hasrat ḳhaak meñ mil-mil ga.e
un ġharīboñ kā Thikānā kuchh na thā
aaj mahfil meñ hai sāmāñ aur hī
kal bhī thā kuchh lekin itnā kuchh na thā
ruk ga.ī ḳhud hī sharaf tab’-e-ravāñ
is zamīñ kā to Thikānā kuchh na thā
tauba-tauba us ka jalwa kuchh na tha
sach to ye hai main ne dekha kuchh na tha
apni haalat par nazar farmaiye
ye na kahiye tera qissa kuchh na tha
ashk-e-hasrat KHak mein mil-mil gae
un gharibon ka Thikana kuchh na tha
aaj mahfil mein hai saman aur hi
kal bhi tha kuchh lekin itna kuchh na tha
ruk gai KHud hi sharaf tab’-e-rawan
is zamin ka to Thikana kuchh na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.