phir rahe hain yunhi ek muddat se bazaron mein hum
phir rahe hain yunhi ek muddat se bazaron mein hum
Abdul Qadir Sharaf
MORE BYAbdul Qadir Sharaf
phir rahe haiñ yūñhī ik muddat se bāzāroñ meñ ham
kah nahīñ sakte ki haiñ kis ke ḳharīdāroñ meñ ham
mujh marīz-e-ġham ko jab dekhā masīhā ne kahā
jis pe tū martā hai haiñ ḳhud us ke bīmāroñ meñ ham
un kī bātoñ par na jā ai dil zarā chitvan bhī dekh
kuchh adā inkār kī paate haiñ iqrāroñ meñ ham
is tamannā meñ dil-e-pur-dāġh haiñ 'ushshāq ke
kaash ban kar phuul gundh jaa.eñ tire hāroñ meñ ham
jin ke dar kī ḳhāksārī karte haiñ jinn-o-malak
haiñ unhīñ ke ai 'sharaf' ik kafash-bardāroñ meñ ham
phir rahe hain yunhi ek muddat se bazaron mein hum
kah nahin sakte ki hain kis ke KHaridaron mein hum
mujh mariz-e-gham ko jab dekha masiha ne kaha
jis pe tu marta hai hain KHud us ke bimaron mein hum
un ki baaton par na ja ai dil zara chitwan bhi dekh
kuchh ada inkar ki pate hain iqraron mein hum
is tamanna mein dil-e-pur-dagh hain 'ushshaq ke
kash ban kar phul gundh jaen tere haaron mein hum
jin ke dar ki KHaksari karte hain jinn-o-malak
hain unhin ke ai 'sharaf' ek kafash-bardaron mein hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.