baDi mushkil se hum us be-wafa ka nam lete hain

baDi mushkil se hum us be-wafa ka nam lete hain
Abdul Qadir Sharaf
MORE BYAbdul Qadir Sharaf
baḌī mushkil se ham us be-vafā kā naam lete haiñ
ki pahle donoñ hāthoñ se kalejā thaam lete haiñ
paḌā rahne do kūche meñ koī din ham ġharīboñ ko
thake-māñde musāfir haiñ zarā ārām lete haiñ
majāl itnī nahīñ ham un ke aage aah kar baiTheñ
jo dard uThtā hai to hāthoñ se dil ko thaam lete haiñ
mohabbat karke pachhtāyā huuñ kaisā kyā karūñ ab maiñ
kisī kī ho ḳhatā lekin vo merā naam lete haiñ
batā ham ko 'sharaf' kuchh to sabab hai ham na māneñge
hañsī aa jaatī hai un ko jo terā naam lete haiñ
baDi mushkil se hum us be-wafa ka nam lete hain
ki pahle donon hathon se kaleja tham lete hain
paDa rahne do kuche mein koi din hum gharibon ko
thake-mande musafir hain zara aaram lete hain
majal itni nahin hum un ke aage aah kar baiThen
jo dard uThta hai to hathon se dil ko tham lete hain
mohabbat karke pachhtaya hun kaisa kya karun ab main
kisi ki ho KHata lekin wo mera nam lete hain
bata hum ko 'sharaf' kuchh to sabab hai hum na manenge
hansi aa jati hai un ko jo tera nam lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.