apna maskan jo madine ko bana lete hain
apnā maskan jo madīne ko banā lete haiñ
rah ke duniyā meñ vo jannat kā mazā lete haiñ
ātish-e-'ishq nabī aur bhaḌak uThtī hai
ThanDī-ThanDī jo madīne kī havā lete haiñ
vasl to rutba-e-’ālī hai yahī kyā kam hai
dard-e-dil roz unheñ jā ke sunā lete haiñ
is se ab baḌh ke ho kyā banda-navāzī kā subūt
mujh se 'aasī ko bhī vo paas bulā lete haiñ
qābil-e-vajd kahī hai ye ġhazal tum ne 'sharaf'
jo samajhte haiñ vahī us kā mazā lete haiñ
apna maskan jo madine ko bana lete hain
rah ke duniya mein wo jannat ka maza lete hain
aatish-e-'ishq nabi aur bhaDak uThti hai
ThanDi-ThanDi jo madine ki hawa lete hain
wasl to rutba-e-’ali hai yahi kya kam hai
dard-e-dil roz unhen ja ke suna lete hain
is se ab baDh ke ho kya banda-nawazi ka subut
mujh se 'asi ko bhi wo pas bula lete hain
qabil-e-wajd kahi hai ye ghazal tum ne 'sharaf'
jo samajhte hain wahi us ka maza lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.