dam-e-aKHir zaban par nam tera ho to achchha ho

dam-e-aKHir zaban par nam tera ho to achchha ho
Abdul Qadir Sharaf
MORE BYAbdul Qadir Sharaf
dam-e-āḳhir zabāñ par naam terā ho to achchhā ho
mirī taqdīr meñ yārab madīna ho to achchhā ho
yahī yā-rab ’atā-e-dīn-o-duniyā ho to achchhā ho
vahāñ jannat yahāñ jannat kā rauza ho to achchhā ho
'ajab lazzat ḳhalish meñ terī ai ḳhār-e-mohabbat hai
ye kāñTā dam-ba-dam dil meñ khaTaktā ho to achchhā ho
kareñ fard-e-’amal par naaz mahshar meñ 'amal vaale
hamāre haath meñ dāman tumhārā ho to achchhā ho
'sharaf' marg-e-madīna par tamannā ḳhuub kah guzre
sar us chaukhaT ho aur dam nikaltā ho to achchhā ho
dam-e-aKHir zaban par nam tera ho to achchha ho
meri taqdir mein yarab madina ho to achchha ho
yahi ya-rab ’ata-e-din-o-duniya ho to achchha ho
wahan jannat yahan jannat ka rauza ho to achchha ho
'ajab lazzat KHalish mein teri ai KHar-e-mohabbat hai
ye kanTa dam-ba-dam dil mein khaTakta ho to achchha ho
karen fard-e-’amal par naz mahshar mein 'amal wale
hamare hath mein daman tumhaara ho to achchha ho
'sharaf' marg-e-madina par tamanna KHub kah guzre
sar us chaukhaT ho aur dam nikalta ho to achchha ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.