kar raha hun pesh-e-KHidmat aapko gul-ha-e-hosh
kar raha hun pesh-e-KHidmat aapko gul-ha-e-hosh
Rafeeq Alam Damohi
MORE BYRafeeq Alam Damohi
kar rahā huuñ pesh-e-ḳhidmat aap ko gul-hā-e-hosh
yuuñ karam farmā.iye mahfil meñ phir chhā jaa.e hosh
kyuuñ hamārī qaum ġhaflat ke nashe meñ chuur hai
hosh ko be-hoshiyoñ kā kaash kuchh ājāye hosh
'ilm vaalā to adā karatā hai apne farz ko
kitne nādāñ haiñ jo kahte haiñ na ab samjhā.e hosh
ham sabhī apnī tavajjoh deñ usūloñ kī taraf
ba.ad meñ aisā na ho is baat par pachhtā.e hosh
aadmī ko chāhiye zehn-o-nazar se kaam le
zahr-ālūda fazā ko saaf kar mahkā.e hosh
log apnī uñgliyāñ dāñtoñ tale rakh leñ ‘rafīq’
kaam aisā kījiye phir hosh meñ aa jaa.e hosh
kar raha hun pesh-e-KHidmat aap ko gul-ha-e-hosh
yun karam farmaiye mahfil mein phir chha jae hosh
kyun hamari qaum ghaflat ke nashe mein chur hai
hosh ko be-hoshiyon ka kash kuchh aajaye hosh
'ilm wala to ada karata hai apne farz ko
kitne nadan hain jo kahte hain na ab samjhae hosh
hum sabhi apni tawajjoh den usulon ki taraf
baad mein aisa na ho is baat par pachhtae hosh
aadmi ko chahiye zehn-o-nazar se kaam le
zahr-aluda faza ko saf kar mahkae hosh
log apni ungliyan danton tale rakh len ‘rafiq’
kaam aisa kijiye phir hosh mein aa jae hosh
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 259)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.