aadmi paida hua hai aadamiyat ke liye
aadmī paidā huā hai ādamiyat ke liye
aur vujūd-e-kun fakāñ hai us kī zīnat ke liye
hai tamām ādamiyat ashraf-e-kul kā.ināt
aur ye duniyā banī hai us kī ḳhidmat ke liye
hai taqāza 'aql kā fikr-o-tadabbur merī jaañ
dil diyā hai us ne tujh ko apnī ulfat ke liye
chaar din kī zindagī meñ zinda-e-jāved ban
tū nahīñ paidā huā hai 'aish-o-'ishrat ke liye
maut jab aa.egī 'afsar' vā-e-sad afsos hai
vaqt bhī tujh ko na mil pā.egā hasrat ke liye
aadmi paida hua hai aadamiyat ke liye
aur wujud-e-kun fakan hai us ki zinat ke liye
hai tamam aadamiyat ashraf-e-kul kainat
aur ye duniya bani hai us ki KHidmat ke liye
hai taqaza 'aql ka fikr-o-tadabbur meri jaan
dil diya hai us ne tujh ko apni ulfat ke liye
chaar din ki zindagi mein zinda-e-jawed ban
tu nahin paida hua hai 'aish-o-'ishrat ke liye
maut jab aaegi 'afsar' wa-e-sad afsos hai
waqt bhi tujh ko na mil paega hasrat ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.