jis ki ulfat mein hum aae dosto badnam rahe

jis ki ulfat mein hum aae dosto badnam rahe
Abdul Raheem Kunjpuri
MORE BYAbdul Raheem Kunjpuri
jis kī ulfat meñ ham aa.e dosto badnām rahe
aaj tak vasl se us shoḳh ke nākām rahe
haaye ab tak na bar aa.ī koī merī ummīd
lākhoñ hai dil meñ bhare hasrat-o-kām rahe
ḳhvāhish-e-vasl idhar se hai udhar se inkār
muddatoñ bhī nāma-o-paiġhām rahe
kab huā 'ishq kī āġhāz kā anjām ba-ḳhair
naqd-e-dil de ke bhī vasl se nākām rahe
'ishq meñ tere sanam ab to ye naubat pahuñchī
na to kāfir rahe na sāhib-e-islām rahe
duur kar dil se mire ulfat-e-duniyā yā-rab
tirī hī yaad se har vaqt mujhe kaam rahe
sāqiyā bahr-e-ḳhudā rakhnā na sāġhar ḳhālī
bāda-e-'ishq se labrez mirā jaam rahe
gul-ruḳhoñ kī ulfat meñ huā tū barbād 'rahīm'
kHār-e-pur tujh ko samajhte ye gul-andām rahe
jis ki ulfat mein hum aae dosto badnam rahe
aaj tak wasl se us shoKH ke nakaam rahe
haye ab tak na bar aai koi meri ummid
lakhon hai dil mein bhare hasrat-o-kaam rahe
KHwahish-e-wasl idhar se hai udhar se inkar
muddaton bhi nama-o-paigham rahe
kab hua 'ishq ki aaghaz ka anjam ba-KHair
naqd-e-dil de ke bhi wasl se nakaam rahe
'ishq mein tere sanam ab to ye naubat pahunchi
na to kafir rahe na sahib-e-islam rahe
dur kar dil se mere ulfat-e-duniya ya-rab
teri hi yaad se har waqt mujhe kaam rahe
saqiya bahr-e-KHuda rakhna na saghar KHali
baada-e-'ishq se labrez mera jam rahe
gul-ruKHon ki ulfat mein hua tu barbaad 'rahim'
kHar-e-pur tujh ko samajhte ye gul-andam rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.