KHallaq-e-do-alam ka jalwa hai judagana
ḳhallāq-e-do-ālam kā jalva hai judāgāna
kahne kī ye bāteñ haiñ bastī hai ki vīrāna
ham tujh ko kahāñ DhūñDeñ ai jalva-e-jānāna
maġhrib meñ jo ka.aba hai mashriq meñ hai but-ḳhāna
kis dhun meñ chalā aayā ai vaa.iz dīvāna
ye bazm hai rindoñ kī mai-ḳhāna hai mai-ḳhāna
kyā turfa tamāsha hai ai gardish-e-paimāna
zī-hosh hai dīvāna dīvāna hai farzāna
ham vo haiñ haqīqat meñ ai jalva-e-jānāna
paḌtī hai nazar tujh par ka.aba ho ki but-ḳhāna
ik jaam mai-e-vahdat haañ ham ko bhī ai saaqī
ham duur se aa.e haiñ sun kar terā mai-ḳhāna
jin se hai ġharaz ham ko ham saath meñ hoñ un ke
ka.aba ho kalīsā ho girjā ho ki but-ḳhāna
haañ aap se ulfat hai ham aap ke bande haiñ
kāfir hai jo ye samjhe hai aap se yārāna
ham tere haiñ shaidā.ī ham tere tamannā.ī
ham ko hai ġharaz tujh se ka.aba ho ki but-ḳhāna
maḳhlūq ik ā.īna hai nūr-e-haqīqat kā
jalva nazar aatā hai har shai meñ judāgāna
jis nayyar-e-vahdat ne a.alam ko kiyā raushan
us sham-e-haqīqat kā dil hai mirā parvāna
kahne ko haiñ dīvāne matlab meñ haiñ farzāne
ham chhoḌ nahii. sakte hargiz dar-e-jānāna
us shaan ke meñ sadqe phir naaz se tum kah do
'hamzah’ jise kahte haiñ vo hai mirā dīvāna
KHallaq-e-do-alam ka jalwa hai judagana
kahne ki ye baaten hain basti hai ki virana
hum tujh ko kahan DhunDen ai jalwa-e-jaanana
maghrib mein jo kaba hai mashriq mein hai but-KHana
kis dhun mein chala aaya ai waiz diwana
ye bazm hai rindon ki mai-KHana hai mai-KHana
kya turfa tamasha hai ai gardish-e-paimana
zi-hosh hai diwana diwana hai farzana
hum wo hain haqiqat mein ai jalwa-e-jaanana
paDti hai nazar tujh par kaba ho ki but-KHana
ek jam mai-e-wahdat han hum ko bhi ai saqi
hum dur se aae hain sun kar tera mai-KHana
jin se hai gharaz hum ko hum sath mein hon un ke
kaba ho kalisa ho girja ho ki but-KHana
han aap se ulfat hai hum aap ke bande hain
kafir hai jo ye samjhe hai aap se yarana
hum tere hain shaidai hum tere tamannai
hum ko hai gharaz tujh se kaba ho ki but-KHana
maKHluq ek aaina hai nur-e-haqiqat ka
jalwa nazar aata hai har shai mein judagana
jis nayyar-e-wahdat ne aalam ko kiya raushan
us sham-e-haqiqat ka dil hai mera parwana
kahne ko hain diwane matlab mein hain farzane
hum chhoD nahi sakte hargiz dar-e-jaanana
us shan ke mein sadqe phir naz se tum kah do
'hamzah’ jise kahte hain wo hai mera diwana
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.V (Pg. 144)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.