kaba kashi masjid mandir karan the sab uljhan ke
ka.aba kāshī masjid mandir kāran the sab uljhan ke
prem se uljhan duur huī hai band khule haiñ bandhan ke
krishn-kanhaiyā aan birāje more man ke mandir meñ
bhagvan more saath hai ab to dvaar khule haiñ darpan ke
kab se maayā jaal meñ phañs kar taḌpat thī maiñ rātoñ ko
piir ne muktī moko dilā.ī jaage bhaag abhāgan ke
piir hī morā bhagvan hai aur piir hī morā an-dātā
bal-bal jā۔ūñ piir ke apne parde khule haiñ nainan ke
sāmne ab hai kirshn-murārī sāmne hai ab rām-rahīm
kahat haiñ 'kāvish' sun bha.ī sādho ruup haiñ ye sab bhagvan ke
kaba kashi masjid mandir karan the sab uljhan ke
prem se uljhan dur hui hai band khule hain bandhan ke
krishn-kanhaiya aan biraje more man ke mandir mein
bhagwan more sath hai ab to dwar khule hain darpan ke
kab se maya jal mein phans kar taDpat thi main raaton ko
pir ne mukti moko dilai jage bhag abhagan ke
pir hi mora bhagwan hai aur pir hi mora an-data
bal-bal ja۔un pir ke apne parde khule hain nainan ke
samne ab hai kirshn-murari samne hai ab ram-rahim
kahat hain 'kawish' sun bhai sadho rup hain ye sab bhagwan ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.