mujhe meri wafaon ka faqat itna sila dena
mujhe merī vafāoñ kā faqat itnā sila denā
chalā kar tiir nazroñ se mujhe bismil banā denā
ujālā māñgne aayā hai sūraj bhī tire dar par
haTā kar ruḳh se zulfoñ ko zarā mukhḌā dikhā denā
pyāsā huuñ tirī mahfil meñ aayā huuñ maiñ ai saaqī
mujhe bhī ras-bharī āñkhoñ se jām-e-mai pilā denā
ye ādāb-e-mohabbat hai tire qadmoñ pe sar rakh duuñ
ye terī ik adā hai pher kar muñh muskurā denā
yahī īmān hai apnā yahī apnā amal 'kāvish'
sanam ke ik ishāre par har ik shai ko luTā denā
mujhe meri wafaon ka faqat itna sila dena
chala kar tir nazron se mujhe bismil bana dena
ujala mangne aaya hai suraj bhi tere dar par
haTa kar ruKH se zulfon ko zara mukhDa dikha dena
pyasa hun teri mahfil mein aaya hun main ai saqi
mujhe bhi ras-bhari aankhon se jam-e-mai pila dena
ye aadab-e-mohabbat hai tere qadmon pe sar rakh dun
ye teri ek ada hai pher kar munh muskura dena
yahi iman hai apna yahi apna amal 'kawish'
sanam ke ek ishaare par har ek shai ko luTa dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.