hai ek makan aur ek makin tu aur nahin main aur nahin
hai ek makan aur ek makin tu aur nahin main aur nahin
Abdul Hadi Kavish
MORE BYAbdul Hadi Kavish
hai ek makāñ aur ek makīñ tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
hai naam usī kā haq-ul-yaqīñ tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
tū laakh chhupā.e ḳhud ko magar maiñ ne to tujhe pahchān liyā
ab dhoke na de o parda-nashīñ tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
har naaz tirā ye kahtā hai har ek adā se zāhir hai
kahne ko tirā āshiq huuñ magar tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
le khīñch le tū talvār apnī maiñ sar ko jhukā.e letā huuñ
haañ soch magar ai zohra-jabīñ tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
tasvīr tirī dil meñ hai sanam paikar meñ tujhe apne paayā
bas maiñ huuñ jahāñ tū bhī hai vahīñ tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
tū laakh kare inkār magar bātoñ meñ tirī kaun aatā hai
īmān mirā ye merā yaqīñ tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
ye raaz hai 'kāvish' ne paayā chaukhaT pe terī ai jān-e-jahāñ
kahtī hai ye jhuk kar us kī jabīñ tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
hai ek makan aur ek makin tu aur nahin main aur nahin
hai nam usi ka haq-ul-yaqin tu aur nahin main aur nahin
tu lakh chhupae KHud ko magar main ne to tujhe pahchan liya
ab dhoke na de o parda-nashin tu aur nahin main aur nahin
har naz tera ye kahta hai har ek ada se zahir hai
kahne ko tera aashiq hun magar tu aur nahin main aur nahin
le khinch le tu talwar apnī main sar ko jhukae leta hun
han soch magar ai zohra-jabin tu aur nahin main aur nahin
taswir teri dil mein hai sanam paikar mein tujhe apne paya
bas main hun jahan tu bhi hai wahin tu aur nahin main aur nahin
tu lakh kare inkar magar baaton mein teri kaun aata hai
iman mera ye mera yaqin tu aur nahin main aur nahin
ye raaz hai 'kawish' ne paya chaukhaT pe teri ai jaan-e-jahan
kahti hai ye jhuk kar us ki jabin tu aur nahin main aur nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.