mizaj-e-yar ka aalam kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai
mizaj-e-yar ka aalam kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai
Abdul Hadi Kavish
MORE BYAbdul Hadi Kavish
mizāj-e-yār kā aalam kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai
dil-e-majrūh kā marham kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai
nirālī shaan hai har aan har pal mere dilbar kī
misāl-e-sho.ala yā shabnam kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai
koī samjhe to kyā samjhe koī jaane to kyā jaane
badaltā rañg hai paiham kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai
asīr-e-gesū-e-pur-ḳham banā.e pahle āshiq ko
nikāle phir vo pech-o-ḳham kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai
surūr-o-kaif kā naġhma ġham-o-andoh kā nauha
tilism-e-zīst kī sargam kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai
baqā hāsil hai 'kāvish' bas jahāñ meñ zāt-e-murshid ko
ke ye duniyā-e-besh-o-kam kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai
mizaj-e-yar ka aalam kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai
dil-e-majruh ka marham kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai
nirali shan hai har aan har pal mere dilbar ki
misal-e-shoala ya shabnam kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai
koi samjhe to kya samjhe koi jaane to kya jaane
badalta rang hai paiham kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai
asir-e-gesu-e-pur-KHam banae pahle aashiq ko
nikale phir wo pech-o-KHam kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai
surur-o-kaif ka naghma gham-o-andoh ka nauha
tilism-e-zist ki sargam kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai
baqa hasil hai 'kawish' bas jahan mein zat-e-murshid ko
ke ye duniya-e-besh-o-kam kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.