Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mizaj-e-yar ka aalam kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai

Abdul Hadi Kavish

mizaj-e-yar ka aalam kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai

Abdul Hadi Kavish

MORE BYAbdul Hadi Kavish

    mizāj-e-yār a.alam kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai

    dil-e-majrūh marham kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai

    nirālī shaan hai har aan har pal mere dil-bar

    misāl-e-sho.ala shabnam kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai

    koī samjhe to kyā samjhe koī jaane to kyā jaane

    badaltā rañg hai paiham kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai

    asīr-e-gesū-e-pur-ḳham banā.e pahle āshiq ko

    nikāle phir vo pech-o-ḳham kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai

    surūr-o-kaif naġhma ġham-o-andoh nauha

    tilism-e-zīst sargam kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai

    baqā hāsil hai 'kāvish' bas jahāñ meñ zāt-e-murshid ko

    ki ye duniyā-e-besh-o-kam kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai

    mizaj-e-yar ka aalam kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai

    dil-e-majruh ka marham kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai

    nirali shan hai har aan har pal mere dil-bar ki

    misal-e-shoala ya shabnam kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai

    koi samjhe to kya samjhe koi jaane to kya jaane

    badalta rang hai paiham kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai

    asir-e-gesu-e-pur-KHam banae pahle aashiq ko

    nikale phir wo pech-o-KHam kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai

    surur-o-kaif ka naghma gham-o-andoh ka nauha

    tilism-e-zist ki sargam kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai

    baqa hasil hai 'kawish' bas jahan mein zat-e-murshid ko

    ki ye duniya-e-besh-o-kam kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now