hai bala-e-na-gahan allah kya azar-e-zulf
hai balā-e-nā-gahāñ allāh kyā azār-e-zulf
dekhte hī dekhte dil ho gayā bīmār-e-zulf
dil nikal kar ho gayā pahlū se jo dildār-e-zulf
ho ga.ī sau jaan se phir jaan bhī ġham-kHvār-e-zulf
lete haiñ 'ushshāq saudā us kā dil se jaan se
kis qadar allāhu akbar garm hai bāzār-e-zulf
ho gayā āġhāz sabza hai bahāroñ par shabāb
baḌh ga.ī ab saath qāmat ke tirī raftār-e-zulf
saañp sā siina pe mere lauTtā hai kyuuñ kahūñ
'ishq kī ik lahar paidā kar gayā dīdār-e-zulf
dil churāyā hai tumhīñ ne tum karo inkār laakh
saaf kahtā hai tumhāre muñh pe ye iqrār-e-zulf
khul gayā jab ġhuncha-e-dil zikr se ruḳhsār ke
bā'is-e-dil-bastagī ho kyuuñ na phir guftār-e-zulf
dekh kar paa.e nazar aage zarā rakhnā qadam
sūrat-e-af’ī hai koī halqa-e-kHamdār-e-zulf
paas us ke hai gul-e-ruḳhsār kī kaisī bahār
yā ilāhī ye rahe phūlā phalā gulzār-e-zulf
dil-farebī us nazākat pe bhī hai madd-e-nazar
us gul-e-ruḳhsār se hargiz na uThtā bār-e-zulf
dil meñ barsoñ se tasavvur thā añdherī raat kā
aa gayā chehra nazar to ho gayā dīdār-e-zulf
kyā batā.eñ tum ko 'bedil' dil hamārā kyā huā
ham bhī de aa.e jo dekhā garm hai bāzār-e-zulf
daam se us ke bachānā dil ko 'bedil' hai muhāl
laakh ’ayyāroñ kā hai ye ek hī ’ayyār-e-zulf
hai bala-e-na-gahan allah kya azar-e-zulf
dekhte hi dekhte dil ho gaya bimar-e-zulf
dil nikal kar ho gaya pahlu se jo dildar-e-zulf
ho gai sau jaan se phir jaan bhi gham-kHwar-e-zulf
lete hain 'ushshaq sauda us ka dil se jaan se
kis qadar allahu akbar garm hai bazar-e-zulf
ho gaya aaghaz sabza hai bahaaron par shabab
baDh gai ab sath qamat ke teri raftar-e-zulf
sanp sa sina pe mere lauTta hai kyun kahun
'ishq ki ek lahar paida kar gaya didar-e-zulf
dil churaya hai tumhin ne tum karo inkar lakh
saf kahta hai tumhaare munh pe ye iqrar-e-zulf
khul gaya jab ghuncha-e-dil zikr se ruKHsar ke
ba'is-e-dil-bastagi ho kyun na phir guftar-e-zulf
dekh kar pae nazar aage zara rakhna qadam
surat-e-af’i hai koi halqa-e-kHamdar-e-zulf
pas us ke hai gul-e-ruKHsar ki kaisi bahaar
ya ilahi ye rahe phula phala gulzar-e-zulf
dil-farebi us nazakat pe bhi hai madd-e-nazar
us gul-e-ruKHsar se hargiz na uThta bar-e-zulf
dil mein barson se tasawwur tha andheri raat ka
aa gaya chehra nazar to ho gaya didar-e-zulf
kya bataen tum ko 'bedil' dil hamara kya hua
hum bhi de aae jo dekha garm hai bazar-e-zulf
dam se us ke bachana dil ko 'bedil' hai muhaal
lakh ’ayyaron ka hai ye ek hi ’ayyar-e-zulf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.