tujhe mah mein mah-paron mein dekha
tujhe maah meñ māh-pāroñ meñ dekhā
gulistāñ kī rañgīñ bahāroñ meñ dekhā
ruḳh-e-qutub meñ mushtarī kī jabīñ par
tujhe jagmagāte sitāroñ meñ dekhā
kalī muskurā.ī banī phuul khil kar
sivā tere kis ko bahāroñ meñ dekhā
hazāroñ hijāboñ ke hote hue bhī
nishāñ be-nishāñ kā hazāroñ meñ dekhā
jabīñ se chamaktī hai iqbāl-mandī
ye aksar nishāñ honhāroñ meñ dekhā
azīzoñ meñ kam-kam malegā yaqīnan
vo ḳhaas uns jo 'kaif' yāroñ meñ dekhā
tujhe mah mein mah-paron mein dekha
gulistan ki rangin bahaaron mein dekha
ruKH-e-qutub mein mushtari ki jabin par
tujhe jagmagate sitaron mein dekha
kali muskurai bani phul khil kar
siwa tere kis ko bahaaron mein dekha
hazaron hijabon ke hote hue bhi
nishan be-nishan ka hazaron mein dekha
jabin se chamakti hai iqbaal-mandi
ye aksar nishan honhaaron mein dekha
azizon mein kam-kam malega yaqinan
wo KHas uns jo 'kaif' yaron mein dekha
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 235)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.